Sunday 17 April 2011

mann ki baatein...

mann karta hai ki udd jaoon....
door kahin us gagan mein.
mann karta hai ki kho jaoon...
badalon ke jashn mein.
mann karta hai ki hawaon mein...
apna humrahi dhundloon.
mann to yeh bhi karta hai ki...
koyal sa kuchh meetha kehdoon.
mann ki batein...
mann ki batein mann hi jaane...
mann hi mann jane kitne mann bana leta huun...
apne mann ko toh jann na saka mein abtak...
unki mann mein jhaankne ka mann bana leta huun...

No comments:

Post a Comment